zaban mile to hazar baaten kaha karen hum sada ka rishta hi tut jae to kya karen hum ye shahr-e-shisha to shahr-e-na-ashna hai pyare kise pukaren yahan kise aashna karen hum agar khuda tak pahunch sake harf-e-na-rasai to arsh tak bhi buland dast-e-dua karen hum yahan masiha ke kaam hi jab dua na aai dua karen ab to kis ki khatir dua karen hum ab un ke hathon kafan ka ehsan bhi kyon uthaen shahadaton ke lahu se rangin qaba karen hum koi kisi ko na de sake tan-e-na-rasai jo qarz-e-jaan hai wo mar ke wada wafa karen hum hum apna qatil khud apne hi aaine mein dekhen agar kabhi apni zat ka samna karen hum mahak uthe karbala se apne watan tak aae kuchh aise zinda wo qissa-e-karbala karen hum wo jis ki khushbu abad abad tak rahe salamat ek aisa nama raqam safir-e-saba karen hum wo jis ada se urus-e-farda ko tu ne chuma nisar us par har ek ada khush-ada karen hum 'jamil' sab se azim-tar is sadi ka gham hai sabhi ko ab is ke ishq mein mubtala karen hum