karam ke is daur-e-imtihan se wo daur-e-mashq-e-sitam hi achchha na zindagi ki khushi hi achchhi na be-sabaati ka gham hi achchha talash ki sai-e-raigan par nazar to aate hain gharq-e-hairat sukhan-taraazi-e-rahnuma se sukut-e-naqsh-e-qadam hi achchha ziya-e-nur-e-yaqin hai rahbar hayat ki tera wadiyon mein bujha ke dekhen bujhane wale charagh-e-taq-e-haram hi achchha talab ki azmat talab ki zahmat talab ka hasil talab ki lazzat na khauf-e-sud-o-ziyan hi achchha na khatra-e-besh-o-kam hi achchha maal kya hoga baghbano sukun-faramosh irtiqa ka nazar bhi aane lagi chaman mein bahaar-e-bagh-e-iram hi achchha mujhe usi par hai naz hamdam shikasta saghar ye hai to apna kise sunata hai zikr-e-mazi bala se tha jam-e-jam hi achchha hawas 'yaqub' nukta-chin kyun nazar hi to hai ye apni apni nigah-e-zauq-e-buland mein hai sar-e-itaat ka kham hi achchha