nahin hai mujh ko ai jamshed tere jam se kaam jahan-numa hai mujhe apne khush-khiram se kaam sabhi to din wa duniya ka kaam karte hain mujhe na din na duniya ke intizam se kaam haram mein shaikh hain aur dair mein barahman hain hamein nahin hai unhon ke koi kalam se kaam kunisht-e-dil mein hai ek josh but-parasti ka mujhe buton ki hai khidmat mein ram ram se kaam gharaz na kufr se kuchh hai na din se matlab na hai halal se na hai hamein haram se kaam sanam ke ru-ba-ru rahna mujhe ghanimat hai na sharm nang se kuchh hai mujhe na nam se kaam khafa bhi ho ke jo dekhe to sar nisar karun agar na dekhe to phir bhi hai ek salam se kaam suna suna ke jo karta hai waz-e-husn bayan pada hai tujh ko hamesha ye fahm-e-kham se kaam tu apne bakne se 'miskin' na hum se dur hua tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam