gardish mein aaina ho na kyun rozgar ka chullu mein khun liye hun dil-e-be-qarar ka bhadki hui thi surkh gulon se chaman mein aag daman na jal gaya ho nasim-e-bahaar ka aae hain le ke ghair ko wo puchhne mizaj tum ne gila kiya tha dil-e-be-qarar ka mahshar ki bhi ummid pe be car jaan di kya e'tibar wada-e-be-e'tibar ka itni to aarzu hai kabhi yaad kar len dost shayad kabhi phir aae zamana bahaar ka saghar ubal rahe hain to shishon mein josh hai nikla hai khich ke dam jo kisi baada-khwar ka tum aae kya ki rang-e-zamana badal gaya gul ho gaya charagh hamare mazar ka taswir ki ragon mein lahu daudne laga kya aa gaya jahan mein mausam bahaar ka