khun-e-nahaq ka samundar nahin dekha jata ab tabahi ka ye manzar nahin dekha jata jab se hai qaid hisaron mein takabbur ke ana khud se uncha koi paikar nahin dekha jata jaane kab kaun hamein desh nikala de de sar pe latka hua khanjar nahin dekha jata jo zariya tha shikam-seri-e-insan ka sada pet par bandhe hai patthar nahin dekha jata aaj insan hai shikanje mein hasad ke aise tutne par hain kai ghar nahin dekha jata teri aazurda si muskan se bekal hai 'shifa' ek tufan tere andar nahin dekha jata