zaban majbur hai lab par fughan hai sarapa dard meri dastan hai nigah-e-yar bhi hai bad-guman si ghurur-e-husn bhi daman-kashan hai firaq-e-dost ka kya zikr aakhir visal-e-yar bhi dil par garan hai yahan par baat karna hai qayamat wahan fariyaad ki jurat kahan hai mera gham hai mera sarmaya-e-zist mera har ashk mera tarjuman hai khumar-alud nazron mein hai jo kaif wo saqi tere saghar mein kahan hai agar mai husn hai to ishq 'faruq' khumar-e-baada-e-shola-fishan hai