gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain

gardishon ke hain mare hue na dushmanon ke satae hue hain
jitne bhi zakhm hain mere dil par doston ke lagae hue hain

jab se dekha tera qadd-o-qamat dil pe tuti hui hai qayamat
har bala se rahe tu salamat din jawani ke aae hue hain

aur de mujh ko de aur saqi hosh rahta hai thoda sa baqi
aaj talkhi bhi hai intiha ki aaj wo bhi parae hue hain

kal the aabaad pahlu mein mere ab hain ghairon ki mahfil mein dere
meri mahfil mein kar ke andhere apni mahfil sajae hue hain

apne hathon se khanjar chala kar kitna masum chehra bana kar
apne kandhon pe ab mere qatil meri mayyat uthae hue hain

mah-washon ko wafa se kya matlab in buton ko khuda se kya matlab
un ki masum nazron ne 'nasir' log pagal banae hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close