na jaane kaun sa meri taraf saman baqi hai

na jaane kaun sa meri taraf saman baqi hai
ki jaan de kar bhi mujh par aap ka ehsan baqi hai

teri nadaniyon se hum mohabbat haar baithe hain
lagane ko bata ab bhi koi bohtan baqi hai

mohabbat ke chaman mein khilne wale ai gul-e-khanda
tere mathe pe ek bose ka bas arman baqi hai

kisi surat tumhaari did ki khairaat mil jae
isi khwahish mein phaila aaj bhi daman baqi hai

ye hum jo sans le pate nahin hain apni marzi se
hamari zindagi mein kaun sa tawan baqi hai

koi bhi phul khwahish ka mujhe khushbu nahin deta
to phir kaise kahun main zist ka gul-dan baqi hai

ye kis muzi maraz ki zad mein aai zindagi 'nasir'
na koi jaanwar baqi hai na insan baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close