garm-e-fariyaad rakha shakl-e-nihaali ne mujhe tab aman hijr mein di bard-e-layali ne mujhe nisyah-o-naqd-e-do-alam ki haqiqat malum le liya mujh se meri himmat-e-ali ne mujhe kasrat-arai-e-wahdat hai parastari-e-wahm kar diya kafir in asnam-e-khayali ne mujhe hawas-e-gul ke tasawwur mein bhi khatka na raha ajab aaram diya be-par-o-baali ne mujhe zindagi mein bhi raha zauq-e-fana ka mara nashsha bakhsha ghazab us saghar-e-khali ne mujhe bas-ki thi fasl-e-khizan-e-chamanistan-e-sukhan rang-e-shohrat na diya taza-khayali ne mujhe jalwa-e-khur se fana hoti hai shabnam 'ghaalib' kho diya satwat-e-asma-e-jalali ne mujhe