jis ko chaho tum us ko bhar do mah ko nuqra mehr ko zar do pir-e-mughan se arz ye kar do dakhkhin bakhsho agar saghar do aah ye donon aafat-e-jaan hain naz-o-ada lanat bar har do ji jalta hai aah ke jhonko sham-e-mohabbat ko gul kar do qatra-fishani kya ai aankho aise barso jal-thal bhar do bulbulo sayyaad aaj khafa hai halq chhuri ke niche dhar do jaan un aankhon se na bachegi ye hai idhar tanha wo udhar do dam ki aamad-o-shud kya kahiye zoaf ki rah se hain ye safar do apna gala khud katte hain hum dam lo chhuri ki tale be-dardo jaan-o-mal fida karne mein fikr-o-taraddud ai na-mardo arz ye hai naqqash-e-azal se hub ke naqsh mein yar ko ghar do daulat-e-dil tum to hazir hai khatt-e-ezar tamassuk kar do shukr-guzar ba-har-surat hain zahar hamein do ya shakkar do aankhon mein hai mawad-e-girya 'bahr' in phodon ko nashtar do