hai haram kis ka kis ke but-khane is ko samjhe hain kuchh to diwane zindagi ka maza wo kya jaane gham diye hon na jis ko duniya ne chashm-e-makhmur hain wo paimane jin pe qurban hazar maikhane hosh aae na tujh ko diwane pi mohabbat ke aise paimane us ko dair-o-haram se kya matlab naqsh-e-pa ko jo un ke pahchane phir taqaza hai wahshat-e-dil ka kar gareban ko chaak diwane rah gae khud ulajh ke aakhir-kar raaz-e-hasti chale the suljhane sar uthe phir na subh-e-mahshar tak sar jhuka is tarah se farzane dard-e-ulfat se jo nahin waqif mujh ko aae hain wo hi samjhane kya mohabbat ke bhi karishme hain shama ek hai hazar parwane us ke jalwe hain zarre zarre mein dekh dair-o-haram ke diwane hum bhi aae hain mai-kade mein 'shafia' apne ghamgin dil ko bahlane