garm hain shor se tujh husn ke bazar kai rashk se jalte hain yusuf ke kharidar kai kab talak dagh dikhawegi asiri mujh ko mar gae sath ke mere to giraftar kai we hi chaalakiyan hathon ki hain jo awwal thin ab gareban mein mere rah gae hain tar kai khauf-e-tanhai nahin kar tu jahan se to safar har jagah rah-e-adam mein milenge yar kai iztirab-o-qilq-o-zoaf mein kis taur jiyun jaan wahid hai meri aur hain aazar kai kyun na hun khasta bhala main ki sitam ke tere tir hain par kai war hain sofar kai apne kuche mein nikaliyo to sambhaale daman yaadgar-e-mizha-e-'mir' hain wan khar kai