har-chand ki ho mariz-e-mohtat

har-chand ki ho mariz-e-mohtat
kya kar sake ba-fasad ikhlat

idris ki salaha rahi hai
kuche mein tere dukan-e-khayyat

rukh par tere dekh sabza-e-khat
hairan hain sab jahan ke khattat

jitni mere dil mein hai teri chah
kam hogi na is se nim qiraat

khun se tere bismilon ke dekhi
kuche mein tere bichhi suqarlat

qad us ka nahin agarche kotah
hai jism ki laghari ba-ifraat

ai yaro na 'mushafi' ko koi
samjho na kam-az-rashid-witwat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close