suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ek nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tawaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi agar wo khwab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr mein thahren ki kuch kar jaen 'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain