garmi-e-shauq-e-nazara ka asar to dekho gul khile jate hain wo saya-e-tar to dekho aise nadan bhi na the jaan se guzarne wale naseho pand-garo rahguzar to dekho wo to wo hai tumhein ho jaegi ulfat mujh se ek nazar tum mere mahbub-e-nazar to dekho wo jo ab chaak gareban bhi nahin karte hain dekhne walo kabhi un ka jigar to dekho daman-e-dard ko gulzar bana rakkha hai aao ek din dil-e-pur-khun ka hunar to dekho subh ki tarah jhamakta hai shab-e-gham ka ufuq 'faiz' tabindagi-e-dida-e-tar to dekho