gham-ba-dil shukr-ba-lab mast o ghazal-khwan chaliye jab tilak sath tere umr-e-gurezan chaliye rahmat-e-haq se jo is samt kabhi rah mile su-e-jannat bhi ba-rah-e-rah-e-jaanan chaliye nazr mange jo gulistan se khuda-wand-e-jahan saghar-e-mai mein liye khun-e-bahaaran chaliye jab satane lage be-rangi-e-diwar-e-jahan naqsh karne koi taswir-e-hasinan chaliye kuchh bhi ho aaina-e-dil ko musaffa rakhiye jo bhi guzre masal-e-khusraw-e-dauran chaliye imtihan jab bhi ho manzur jigar-daron ka mahfil-e-yar mein ham-rah-e-raqiban chaliye