hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain

hai ghalat gar tere danton ko kahun tare hain
ki dahan mushaf-e-natiq hai ye sipare hain

apni hasti mein to aasar-e-fana sare hain
sham ko zarre hain aur subh ko hum tare hain

kya hi harjai hasinan-e-jahan sare hain
ye wo akhtar hain ki sabit nahin sayyare hain

zaiqa honton ka badlega na missi maliye
hongi ye qand siyah ab to shakar-pare hain

baadshahon ki tarah phirte hain danke dete
khar-e-pa chob hain aur aable naqqare hain

chhup chale hain khat-e-shab-rang se rukhsar-e-sabih
din hai kam sham ke aasar ayan sare hain

saghar-e-chashm ke sau dene padenge bose
shisha-e-dil kabhi toda to ye kaffare hain

khat pe khat roz baha kar use pahunchate hain
ashk kahe ko hain ye dak ke harkare hain

aab jari kiya eajaz se ai bahr-e-karam
ungliyan kahe ko hain nur ke fawware hain

mushaf-e-rukh ko wo dikhlaen agar tison din
nai phabti mujhe sujhi kahun sipare hain

hath agar chhune se jal jae yad-e-baiza ho
lal-e-lab us but-e-kafir ke wo angare hain

raungte kab hain in aainon mein hain pad gae baal
hath zanu pe kabhi yar ne de mare hain

pusht par hai jo sipar kham hue ho tegh ki tarah
chaar phul us ke tumhein phulon ke pushtare hain

ru-ba-ru rahti hai taswir-e-tasawwur shab-o-roz
ab to be-minnat-e-khalq aap ke nazzare hain

dekh kar tujh ko hasin katte hain bhule hain banaw
kanghiyan karte nahin sar pe rawan aare hain

dil pe jo guzri khabar ashkon ne di aa ke 'wazir'
laeq-e-khilat-e-rumal ye harkare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close