gawahi kaise tutti muamla khuda ka tha mera aur us ka rabta to hath aur dua ka tha gulab qimat-e-shaguft sham tak chuka sake ada wo dhup ko hua jo qarz bhi saba ka tha bikhar gaya hai phul to hamin se puchh-gachh hui hisab baghban se hai kiya-dhara hawa ka tha lahu-chashida hath us ne chum kar dikha diya jaza wahan mili jahan ki marhala saza ka tha jo barishon se qabl apna rizq ghar mein bhar chuka wo shahr-e-mor se na tha pa durbin bala ka tha