mushtaq ba-dastur zamana hai tumhaara aane se fusun-khez na aana hai tumhaara laila ki hikayat bhi hikayat hai tumhaari shirin ka fasana bhi fasana hai tumhaara is dil ki khabar tum se ziyaada kise hogi andaz magar be-khabarana hai tumhaara tum husn-e-mujassam ho bila-shirkat-e-ghaire na-qabil-e-taqsim khazana hai tumhaara dil mein koi aa jae to wapas nahin jata dushwar yahan se kahin jaana hai tumhaara tum se mutassir hain nae hon ki purane uslub naya hai ki purana hai tumhaara kyun raushni-o-rang se mamur na ho dil sunsan sahi aaina-khana hai tumhaara samjhaya bujhaya na karo dil ko 'shuur' ab kambakht ne kahna kabhi mana hai tumhaara