ye chand jo bachchon ka khilauna hai meri dost kho jaega is baat ka rona hai meri dost ye zardi-e-rukhsar na mitti mein milegi ye zardi-e-rukhsar to sona hai meri dost chal bagh mein rote hain gulabon se lipat kar ghar mein bhi to takiya hi bhigona hai meri dost maujud bhi aise hun ki maujud nahin hun sabit mere hone se na hona hai meri dost dharti ne bhi sote mein hamein zakhm diye hain ye sej bhi kanton ka bichhauna hai meri dost auron ki tarah mujh se bichhad jaega wo bhi hona hai kisi roz ye hona hai meri dost