jab bhi des ko wapas jaun aankh mein aansu aae zehn mein mazi ko lautaun aankh mein aansu aae apne shahr ke gunge bahre logon ko main apne jab bhi dil ki baat sunaun aankh mein aansu aae qadam qadam par dhoke-baz hain pyar jatate hain un ke raaz samajh na paun aankh mein aansu aae ye muskanen jhuti khushiyan kab tak bantun main kis ko dil ke zakhm dikhaun aankh mein aansu aae koi na mere aansu ponchhe gale na koi lagae kis se ab main aas lagaun aankh mein aansu aae dard mein duba kaise likkhun duniya ka afsana 'amjad' jab bhi qalam uthaun aankh mein aansu aae