gesu ko tere rukh se baham hone na denge hum raat ko khurshid mein zam hone na denge ye dard to aaram-e-do-alam se siwa hai ai dost tere dard ko kam hone na denge mafhum badal jaega taslim-o-raza ka ab hum sar-e-taslim ko kham hone na denge sarsar ko sikhaenge latafat ka qarina phulon pe hawaon ke sitam hone na denge ai katib-e-taqdir hamari bhi raza puchh yun nala-e-taqdir raqam hone na denge jab tak hai dil-e-zar mein ek qatra-e-khun bhi kam-martaba-e-lauh-e-o-qalam hone na denge jo zinda o hassas buton ki hai amanat us sajde ko hum nazr-e-haram hone na denge uth jaenge jun baad-e-saba bazm se teri tujh ko bhi khabar teri qasam hone na denge lakhon ka sahaara hai yahi jam-e-sifalin saghar ko kabhi saghar-e-jam hone na denge