ghadi ghadi na mujhe puchh ek taza sawal udas raat ke sine pe aur bojh na dal khile hain phul sukhan ke jali hai sham-e-khayal qafas mein jhank ke dekho qafas-zadon ka kamal usi ke zikr se hum shahr mein hue bad-nam wo ek shakhs ki jis se hamari bol na chaal tere wajud pe chha kar teri nazar se gire hamin ne raj kiya tha hamin hue kangal bichhad gaya na wo aakhir adhuri baat liye main us se kahta raha roz roz baat na tal sitamgari ki nai rasm dhund li us ne hamare samne deta hai dusron ki misal kabhi jo baith gae ja ke do ghadi us pas 'nazar'-ji! dhul gaya barson ka ji se huzn-o-malal