ho gaya hai ek ek pal katna bhaari mujhe mar degi zindagani ki giran-bari mujhe dar-ba-dar phir phir ke khud apne se nafrat ho gai khokhla sa kar gaya hai ranj-e-bekari mujhe itna kuchh dekha ki sab kuchh ek sa lagne laga kar gaya hai waqt mahsusat se aari mujhe main siyah malbus guzre waqt ka hun matami zist ne saunpi hai mazi ki aza-dari mujhe ek ek kar ke kate bahar ke sare rabte kar gai tanha meri sochon ki bimari mujhe ji mein aata hai bikhar kar dahr bhar mein phail jaun qabr lagti hai badan ki chaar-diwari mujhe tu nazar aaya to jangal zat ka jal jaega rakh kar degi teri khwahish ki chingari mujhe roz o shab rahta hun gum-sum aur mutafakkir 'riyaz' karni hai kis imtihan ki jaane tayyari mujhe