ghafil ba-wahm-e-naz khud-ara hai warna yan be-shana-e-saba nahin turra gayah ka bazm-e-qadah se aish-e-tamanna na rakh ki rang said-e-ze-dam-e-jasta hai us dam-gah ka rahmat agar qubul kare kya baid hai sharmindagi se uzr na karna gunah ka maqtal ko kis nashat se jata hun main ki hai pur-gul khayal-e-zakhm se daman nigah ka jaan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai 'asad' parwana hai wakil tere dad-khwah ka uzlat-guzin-e-bazm hain wamandagan-e-did mina-e-mai hai aabla pa-e-nigah ka har gam aable se hai dil dar-tah-e-qadam kya bim ahl-e-dard ko sakhti-e-rah ka taus-e-dar-rikab hai har zarra aah ka ya-rab nafas ghubar hai kis jalwa-gah ka jeb-e-niyaz-e-ishq nishan-dar-e-naz hai aaina hun shikastan-e-tarf-e-kulah ka