kabhi dekhen jo ru-e-yar darakht apne phulon ko samjhen khar darakht chaar-su hai inhen ka likh pida ye anasir ke hain jo chaar darakht mere gulzar mein hain shoale phul mere har aah shoala-bar darakht sau fasad ek ishq mein utthe boya ek tukhm uge hazar darakht jab chala bagh se wo sarw-e-rawan ho gae taeron ko dar darakht jis ko tuba zamana kahta hai tere ghar mein hai saya-dar darakht tu khizan mein jo sair ko nikle mere ho jaen be-bahaar darakht phal na laya nihaal-e-ishq apna phale-phule hazar bar darakht 'bahr' kya nashshe mein khush aate hain nahr-e-gulshan ke dar par darakht