ghair aae pichhe pa gae mujre ka bar pahle hum aah baithe rah gae aae hazar pahle main arz-e-haal us se kyun kar karun mukarrar koi bol bhi sake hai wan ek bar pahle gar jaante ki aakhir khwahan-e-jaan to hoga dil dete pichhe ji ko karte nisar pahle jaana na tha pareshan kar degi tu wagarna hum pech mein bhi aate ai zulf-e-yar pahle maqtal mein jab wo qatil tarwar le ke aaya kahne laga huzur aa le tu hi war pahle main sar jhuka ke aage pahuncha hai aur kiya arz is se bhi kuchh hai behtar hazir hun yar pahle tab dekh dekh bola tarsa ke marna hai nin marne ka tujh ko main zinhaar pahle