kyun ambar ki pahnai mein chup ki rah tatolen apni zat ki bunat udheden sans mein khak samo len dhul mein lipti is khwahish ki sari parten kholen dharti jangal sahra parbat panw bich piro len apne khwab ke hathon mein takle ki nok chubho len kisi mahal ke sannate mein ek sadi tak so len ek sada ke lams mein waqt ke chaaron khont bhigo len gunj mein lipte yaad ke kohna raston par phir ho len ek manzar mein ek dhundle se aks mein chhup ke ro len hum kis khwab mein aankhen munden kis mein aankhen kholen