har qadam teri rahguzar mein hai meri manzil meri nazar mein hai zindagi sarhad-e-khatar mein hai manzil-e-akhiri nazar mein hai zindagi ham-rikab ho kab tak aadmi maut ke safar mein hai ishq agar hai meri rag-o-pai mein husn meri nazar nazar mein hai is ka iqrar khul ke ho ki na ho dil magar hirs-e-mal-o-zar mein hai koi sayyah hi bataega lutf jo sair mein safar mein hai shadd-o-mad se hai aaj bhi jari wo tasadum jo khair-o-shar mein hai ban gaya hai bala-e-jaan-e-qaum ek sauda jo ahl-e-shar mein hai husn jis shai ka nam hai yaro dekhne wale ki nazar mein hai dard-e-sar hai watan ka har akhbar sansani si har ek khabar mein hai rang hi rang hain nigahon mein hae kya baat ham-safar mein hai jazba-e-khair ab kahan 'maghmum' shar hi shar aaj ke bashar mein hai