ghair ki khatir se tum yaron ko dhamkane lage aa ke mere ru-ba-ru talwar chamkane lage ji mein kya guzra tha kal jo aap rakh qabze pe hath khub sa ghure mujhe aur tan ke bal khane lage dil talab mujh se kiya main ne kaha hazir nahin ye ghazab dekho machal kar panw phailane lage qatl kar kar ye nahin malum kya guzra khayal dekh wo bismil mujhe kuchh haif sa khane lage yar mujh ko dekh za rona to un sa hijr mein mushfiqana kuchh nasihat jabki farmane lage jal ke 'rangin' main ne ye misra 'tajalli' ka padha dil ko samjhao mujhe kya aa ke samjhane lage