shiddat-e-shauq se afsane to ho jate hain phir na jaane wahi aashiq kahan kho jate hain mujh se irshad ye hota hai ki samjhun un ko aur phir bhid mein duniya ki wo kho jate hain dard jab zabt ki har had se guzar jata hai khwab tanhai ke aaghosh mein so jate hain bas yunhi kahte hain wo mere hain mere honge aur ek pal mein kisi aur ke ho jate hain hum to paband-e-wafa pahle bhi the aaj bhi hain aap hi fasle le aae to lo jate hain koi tadbir na taqdir se lena-dena bas yunhi faisle jo hone hain ho jate hain kuchh to ehsas-e-mohabbat se huin nam aankhen kuchh teri yaad ke baadal bhi bhigo jate hain