ghair ko tum na aankh bhar dekho kya ghazab karte ho idhar dekho khak mein mat milao dil ko mere ji mein samho tuk apna ghar dekho dekhna zulf-o-rukh tumhein har waqt sham dekho na tum sahar dekho gul hue jate hain charagh ki tarah hum ko tuk jald aan kar dekho aap pe apna ikhtiyar nahin jabr hai hum par kis qadar dekho ram baaton mein to wo ho na saka naqsh o afsun bhi koi kar dekho lakht-e-dil tum na samho mizhgan par aashiqi ka ye hai samar dekho wasl hota nahin bhala kyunkar apni hasti se to guzar dekho dekhte hi nahin to kya kahiye kahiye tab haal kuchh agar dekho dhalte ho tum butan udhar dil se aaj-kal jis ke hath zar dekho ishq-bazi se baz aao 'hasan' chhod do apna ye hunar dekho