takhta-e-mashq-e-sitam mujh ko banane wala tha wahi roz mere khwab mein aane wala muntashir kar diya shiraaza-e-hasti jis ne khana-e-dil ko mere tha wo sajaane wala roz karta raha wo wada-e-farda mujh se umr bhar ahd-e-wafa tha jo nibhane wala us ne manjdhaar mein kashti ko meri chhod diya tha jo tufan-e-hawadis se bachane wala pahle karta tha pas-e-parda meri bekh-kuni kaamyabi ka meri jashn manane wala sabiqa jis se pada maslahat-andesh tha wo dost hota nahin har hath milane wala mar dale na ye tanhai ka ehsas mujhe muntazir jis ka tha ab wo nahin aane wala jis se dil-jui ki ummid thi nikla wo raqib jis ko dekho hai wahi mujh ko satane wala aish-o-ishrat ke sada khwab dikhata tha use ghamza-o-naz se 'barqi' ko lubhane wala