ghair se jam na saka rang-e-wafa mere ba'd mit gaya shewa-e-taslim-o-raza mere ba'd us sitamgar ke uthe dast-e-dua mere ba'd bekasi dekhti hai shan-e-khuda mere ba'd ab to wo garmi-e-bazar-e-hasinan bhi nahin kaisi tabdil hui aab-o-hawa mere ba'd shukr hai mar ke main aain-e-wafa se chhuta rah sake wo bhi na paband-e-jafa mere ba'd shama khamosh rahi ruh bhi dab kar nikli koi hangama-e-alam na hua mere ba'd husn aur ishq ke charchon mein bhi kuchh lutf nahin mil gaya khak mein duniya ka maza mere ba'd jaan dete hue is waste darta hun 'shamim' khul na jae kahin anjam-e-wafa mere ba'd