wahshi hun main kya shai hai bayaban mere aage majnun hun main kya jaib-o-gareban mere aage rakhta hun main sau dagh-e-firaq ek jigar par hai khar se kam-rutba gulistan mere aage dozakh ko bujhata hun main ek ashk se apne hai qatre se kam nuh ka tufan mere aage roti hai mere khauf se shabnam ba-sar-e-gul islah ko bulbul hai ghazal-khwan mere aage aashiq hun meri jaan hatheli pe dhari hai kya tab ki ho khanjar-e-burran mere aage duniya ki shash-o-panj mein 'nayab' kahan tak ye kaam hain sab bazi-e-tiflan mere aage