maut hai tere marizon ko shifa ho jaana qahr hai qaid-e-masaib se riha ho jaana hae mushtaq-e-shahadat se khafa ho jaana tegh ka qismat-e-arbab-e-wafa ho jaana ahl-e-duniya meri qismat falak-e-na-hanjar sab to ruthe hain kahin tum na khafa ho jaana sab jafaon ki talafi hai sitam-kash ke liye tum se wade koi bhule se wafa ho jaana apni haalat ki khabar kuchh nahin achchha hai yahi bais-e-marg hai ehsas-e-baqa ho jaana bahr-e-taskin dil-e-zar yahi kafi hai shikwa-e-jaur pe iqrar-e-wafa ho jaana aatish-e-rashk se ye shauq jalata hai mujhe us sitamgar ka paband-e-jafa ho jaana jaanna apni haqiqat ka bahut mushkil hai sirr-e-maktum hai bande ka khuda ho jaana ab lab-e-yar pe purshish hai tamanna ki 'shamim' kaam aaya mera raazi-ba-raza ho jaana