ghair se unki mulaqat kahan thi pahle

ghair se un ki mulaqat kahan thi pahle
aaj jo baat hai wo baat kahan thi pahle

ab to be-baat hi rahte ho kashida-khatir
be-rukhi mujh se ye be-baat kahan thi pahle

mere haalat ne kuchh us ko tasalli di hai
mutmain gardish-e-haalat kahan thi pahle

ab to har baat pe tana hi mujhe milta hai
aap ki bazm mein ye baat kahan thi pahle

ho ke barbaad main samjhi hun maqam-e-ulfat
warna mujh mein ye karamat kahan thi pahle

aap hi meri tabahi ka banenge mujib
meri danist mein ye baat kahan thi pahle

ghaur se dekhiye ye faiz-e-hawas hai 'raje'
is qadar aamad-e-afat kahan thi pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close