han tere pyar ki bahaar hun main is kahani ka ikhtisar hun main be-qarari mein ek qarar hun main zarre-zarre se aashkar hun main ai meri zist ki hasin ummid subh ka teri e'tibar hun main mishal-e-rah zindagi hai tu aur manzil ki raazdar hun main kaun jaanega kaun samjhega kis qadar kitni be-qarar hun main meri aankhon ki raushni hai tu tu hai suraj tera hisar hun main zulmaton ke khilaf ai 'raje' ek shamshir-e-ab-dar hun main