ghairat-e-ishq salamat thi ana zinda thi wo bhi din the ki rah-o-rasm-e-wafa zinda thi qais ko dosh na do rakhiyo na farhad ko nam inhi logon se mohabbat ki ada zinda thi shahr-e-bimar ke har kucha o baam o dar par hum bhi marte the ki jab khalq-e-khuda zinda thi bujh gain shamen to dam tod gae jhonke bhi jis tarah zahr-e-raqabat se hawa zinda thi yaad-e-ayyam ki sahra-e-mohabbat mein 'faraaz' jaras-e-qafila-e-dil ki sada zinda thi