intihai bhid mein ek ibtida hai aakhiri phir na hoga baad mein ye saneha hai aakhiri apna apna chehra le kar aa gae hain sab ke sab waqt ke hathon mein jabki aaina hai aakhiri dekhiye banta hai kaun us ki malamat ka hadaf tir us zalim ke tarkash mein bacha hai aakhiri ek mutthi aasman bas ek mutthi aasman us parinde ki yahi bas iltija hai aakhiri aakhiri bar aao aankhen bhar len 'rahmani' se hum phir kahan ki raushni ka silsila hai aakhiri