ghairon ke sath baithe hain is anjuman mein hum kanton se wasta hai magar hain chaman mein hum samjho na dagh daman-e-dil mein ye phul hain ab hain qafas-nasib kabhi the chaman mein hum ruswa na zakhm-e-tir-enazar ho ye khauf hai hathon se dil chhupae hue hain kafan mein hum wo husn tha ki husn-e-nazar tha khabar nahin kuchh dekhte rahe hain teri anjuman mein hum jage hain khwab se bhi to aalam hai khwab ka khushbu si pa rahe hain tere pairahan mein hum thi aarzu chaman ki aur ab dil qafas mein hai ek ajnabi se aae hue hain watan mein hum chaha durust chah jatana ghalat hua sidhi thi rah khoe gae bankpan mein hum dekhenge jalwa-e-chaman-ara chaman mein hum zauq-e-nazar se chaak karenge hijab-e-gul 'bekhud' khuda ka shukr buton ki nazar padi warna gae the gardish-e-charkh-e-kuhan mein hum