haal-e-dil bad se bad-tar hua dekhiye aap ka kaam hai dekhna dekhiye wo jo rakkha hua hai jahan ke liye aap khud bhi to wo aaina dekhiye aql walon ki imdad ke waste jaan-ba-kaf hai koi sar-phira dekhiye shahr jal bujh gaya log mar kab gae subh-e-nau kal naya hadisa dekhiye is tamasha-e-ahal-e-siyasat ko aap dekh sakte hain bas barha dekhiye apne ausan khoti zamin hi nahin aasman ko bhi marta hua dekhiye ek haalat hai dil ki kuchh aisi bhi jab khud ko mumkin hai khud se juda dekhiye jalwa-farma hai jo apne andar use dam-ba-dam dekhiye ja-ba-ja dekhiye ek duje se ukta gae aadmi in se uktaega kab khuda dekhiye shiddat-e-gham hai main bhi hun pyasa 'amar' aas pas ab koi mai-kada dekhiye