ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh sharab lao gham-e-kufr-o-din darogh darogh hazar nakhl-e-guman hain abhi numud-asar azal ke din se hai kisht-e-yaqin darogh darogh hadis-e-rashk-e-raqiban hui hai jis ki nazar main aur us ki lagan ham-nashin darogh darogh khud apni masti-e-pinhan se hath aata hai shikar-e-nafa-e-ahu-e-chin darogh darogh main aur shikwa-e-sarai-e-zakhm-e-be-sababi tu aur dashna tah-e-astin darogh darogh zarur koi nazar hai harif-e-khud-nigari wo aur bazm mein chin-bar-jabin darogh darogh malul kuchh gham-e-baalidgi se hai warna sirisht-e-gul ko malal-e-zamin darogh darogh sadaen din tujhe khalq-e-khuda ne maqtal se teri gali mein khabar tak nahin darogh darogh