gil ka wo rukh bahaar ke aaghaz se utha shoala sa andalib ki aawaz se utha nau-dast zakhma-war ne mita di had-e-kamal parde jale tamam dhuan saz se utha jaise dua-e-nim-shabi ka surud ho ek shor mai-kade mein is andaz se utha mahzar liye junun mein sawal-o-jawab ka parda sa ek dida-e-ghammaz se utha baqi abhi hai tangi-o-wusat mein ek farq is ko bhi jumbish-e-lab-e-eajaz se utha isyan sarisht-o-paki-e-daman ki ek dalil kya lutf husn-e-tafraqaأpardaz se utha wo shakhs tha muraqqa-e-mani ki ek zid rang-e-hazar husn-e-junnun-saz se utha kante zamin se aur ziyaada hue tulua ek masala bahaar ke aaghaz se utha banti mata-e-kashf to kya aaine ki chhut lazzat hi kuchh ishaara-e-ham-raaz se utha yarab tu laj rakh mere shauq-e-fuzul ki duniya hai nind mein meri aawaz se utha ek manzar-e-kinara-e-baam aur de gaya partaw sa koi us ke dar-baz se utha main kya ki mere baad bhi jo log wan gae koi na us ki anjuman-e-naz se utha 'madni' qafas mein subh hui aur us ke baad dil se dhuan bhi hasrat-e-parwaz se utha