ghalat hai ishq mein ai bul-hawas andesha rahat ka riwaj is mulk mein hai dard-o-dagh-o-ranj-o-kulfat ka zamin ek safha-e-taswir be-hoshan se mana hai ye majlis jab se hai achchha nahin kuchh rang sohbat ka jahan jalwe se us mahbub ke yaksar labaalab hai nazar paida kar awwal phir tamasha dekh qudrat ka hanuz aawara-e-laila hai jaan-e-rafta majnun ki mue par bhi raha hota nahin wabasta ulfat ka harif-e-be-jigar hai sabr warna kal ki sohbat mein niyaz-o-naz ka jhagda giro tha ek jurat ka nigah-e-yas bhi is said-e-afgan par ghanimat hai nihayat tang hai ai said-e-bismil waqt fursat ka kharabi dil ki is had hai ki ye samjha nahin jata ki aabaadi bhi yan thi ya ki virana tha muddat ka nigah-e-mast ne us ki lutai khanqa sari pada hai barham ab tak karkhana zohd-o-taat ka qadam tak dekh kar rakh 'mir' sar dil se nikalega palak se shokh-tar kanta hai sahra-e-mohabbat ka