ghazal mein jaan padi guftugu mein phul khile meri nawa se dayar-e-numu mein phul khile mere hi sher uchhaale mere harifon ne mere tufail zaban-e-adu mein phul khile unhen ye zom ki be-sud hai sada-e-sukhan hamein ye zid ki isi hao-hu mein phul khile ye kis ko yaad kiya ruh ki zarurat ne ye kis ke nam se mere lahu mein phul khile bahaar ab ke na thahri kisi bhi qarye mein na bagh-e-khwab na sahra-e-hu mein phul khile zamin-e-kufa ko yun hi kharab rahna tha to kis liye ye sinan-o-gulu mein phul khile mere junun se pas-e-dasht-e-jaan ghubar utha mere lahu se dar-e-ru-ba-ru mein phul khile kabhi kamand koi mauj dal de 'arshad' kabhi hawa-e-sar-e-abju mein phul khile