girani-e-shab-e-hijran do-chand kya karte ilaj-e-dard tere dardmand kya karte wahin lagi hai jo nazuk maqam the dil ke ye farq dast-e-adu ke gazand kya karte jagah jagah pe the naseh to ku-ba-ku dilbar inhen pasand unhen na-pasand kya karte hamin ne rok liya panja-e-junun warna hamein asir ye kotah-kamand kya karte jinhen khabar thi ki shart-e-nawa-gari kya hai wo khush-nawa gila-e-qaid-o-band kya karte gulu-e-ishq ko dar-o-rasan pahunch na sake to laut aae tere sar-buland kya karte