sath rah kar bhi jaanta kahan hai wo mera hai par aashna kahan hai ye tamanna hai do ghadi ji lun zist ka lekin rasta kahan hai mujh mein jita hai har nafas lekin main usi ka hun manta kahan hai jo dua mein ibaadaton mein raha wo mohabbat ka dewta kahan hai chot gahri lagi hai dil pe koi kisi se us ka wasta kahan hai sath khud ke hun ajnabi ki tarah mera mujh se hi silsila kahan hai