gham chhapaun ki aashkar karun kaun si waza ikhtiyar karun hadson se nigah chaar karun gham ke lamhon ko shahkar karun aur kya hai jo nazr-e-yar karun ji mein aata hai jaan-nisar karun zindagi ko hi jab sabaat nahin aur phir kis ka eatibar karun tum bhi mahbub zindagi bhi aziz tum ko chahun ki khud se pyar karun aur bhi mashghale hain wahshat ke kyon gareban hi tar tar karun kya qayamat se kam hai sham-e-firaq aur kis din ka intizar karun har sahaara hai jab tera muhtaj kyon sahaaron pe inhisar karun 'zabt' jab zabt-e-gham ki hai takid kyon na ye jabr ikhtiyar karun