gham chhedta hai saz-e-rag-e-jaan kabhi kabhi hoti hai kaenat ghazal-khwan kabhi kabhi hum ne diye hain ishq ko tewar nae nae un se bhi ho gae hain gurezan kabhi kabhi ai daulat-e-sukun ke talab-gar dekhna shabnam se jal gaya hai gulistan kabhi kabhi hum be-kason ki bazm mein aaega aur kaun aa baithti hai gardish-e-dauran kabhi kabhi kuchh aur badh gai hai andheron ki zindagi yun bhi hua hai jashn-e-charaghan kabhi kabhi